Friday, July 3, 2009

hamara waqt ranj-o-malaal gaya jo guzar gaya so guzar gaya

hamara waqt ranj-o-malaal gaya jo guzar gaya so guzar gaya
usse yaad kar ke na dil dukha jo guzar gaya so guzar gaya
na gila kiya , na khaffa huye yunhi raaste mein fida huye
na tu bewaffa na main bewaffa ,jo guzar gaya so guzar gaya
vo ghazal ki ik kitaab tha vo gulon mein ik gulaab tha
zara dair ka koi khaab tha jo guzar gaya so guzar gaya
mujhe patjhadon ki kahaniyan na suna suna ke udaas kar
tu khizan ka phool hai muskura jo guzar gaya so guzar gaya
vo udaas dhoop samit kar kahin vaadiyon mein utar chuka
usse ab na de mere dil sada , jo guzar gaya so guzar gaya
yeh safar bhi kitna taweel hai yahan waqt kitna qaleel hai
Kahan laut kar koi aayega jo guzar gaya so guzar gaya
vo waffaein thin ke jaffaein thin na yeh soch kis ki khatayein thin
vo tera hai ussko gale laga jo guzar gaya so guzar gaya
koi farq shah-o-gada nahi ke yahan kisi ki baqaa nahi
yeh ujaad mehlon ki sun sadaa jo guzar gaya so guzar gaya
tujhe aitbaar-o-yaqiin nahi , nahi duniya itni buri nahi
na malaal kar mere saath aa jo guzar gaya so guzar gaya

No comments:

Post a Comment

wel come