Friday, July 3, 2009

hum raat bohot roye bohot aah-o-fughan ki

hum raat bohot roye bohot aah-o-fughan ki
dil dard se bojhal ho toh phir neend kahan ki
sar zaanu pe rakhe huye kya soch rahi ho
kuch baaten samajhti ho mohabbat zadgaan ki ?
tum meri taraf dekh kar chup ho si gayin thin
woh sa'at-e-khush waqt nishat-e-guzraan ki
ik din yeh samajhtay thay keh payaan-e-tamanna
ik raat hai mahtaab ke ayyam-e-jawan ki
ab aur hi auqat hai aye jaan-e-tamanna
hum nalah-kushan, be-gunhan, gham zadgaan ki
iss ghar ki khuli chhat pe chamakte huye taaron
kehte ho kabhi baat wahan ja ke yahan ki ?
bargashta hua humse, yeh mahtaab toh pyaro !
bas baat suni, rah chala kahkashaan ki
allah kare meer ka zannat mein makan ho
merhoom ne baat hamari hi bayan ki
pedhte hain shab-o-roz uss shaks ki ghazalein
ghazlain hain hakayaat hain hum dil zadgaan ki
tum charkh-e-chaharam ke sitare huye logo !
taraaj karo zindagiyan ehl-e-jahan ki
acha humen bante huye, mit'te huye dekho
hum mauj-e-guraizaan hi sahi aab-e-rawan ki
insha semilo, iss se na rokenge, wvo lekin
uss se yeh mulaqaat nikali hai kahan ki ?
mashoor hai har bazm mein uss shaks ka sauda
baatein hain bohot shehr mein badnaam miyan ki
aye dosto aye dosto ! aye dard naseebo !
galiyon mein chalo sair karein shehr-e-buutaan ki
hum jaayen kisi samt, kisi chok pe thehrein
kahyo na koi baat kisi sood-o-zayan ki.
insha ki ghazal sun lo, pe ranjoor na hona
deewana hai deewane ne ik baat bayan ki
hota hai yahi ishq mein hanjaar sabhi ka
baatein yehi dekhi hain mohabbat zadgaan ki

No comments:

Post a Comment

wel come