Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

barang-e-gul saba se kab khila dilgeer dil mera
ki hai bag-e-jahan mein guncha-e-tasveer dil mera
sambhale rakh zara ae asmaan dekh apne daaman ko
zamiin par khinchta hai naalah-e-shabgeer[raaton ka rona] dil mera
buuton gar husn ki daulat se tum ho ban gaye paras
hua hai kimiye-ishq[prem rasiyan] se akseer[tanbe se sona banana wali mitti] dil mera
kabhi minnat ki zanjeer unnko pehne ussne dekha tha
hai ab tak pehne tare-ashq ki zanjeer dil mera
buuton ko ishq hai gar ‘zauq’ toh saari khudai mein
karega shehr-shehr ik din mujhe tash’heer[famous] dil mera

No comments:

Post a Comment

wel come