Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

dushman-e-jaan yak-ba-yak saara zamana ho gaya
haaye taasir-e-muhbbat ! yeh sitam kya ho gaya
tum mein tha mujh mein tha dil phir kaho kya ho gaya
dil ke jaane ka toh aalam ko achamba ho gaya
baada-e-gulgu’on[red wine] ne rang-e-rukh ko raushan kar diya
pehle tha gulrang mukhda phir bhabhuka ho gaya
yaad-e-zulfe-ambari mein raat bhar aahein bhari
gumbad-e-gurdu[akash ka gumbad] siyah[dark] saare ka sara ho gaya
‘zauq’ ne ho zulf ko chheda toh le mujhse qasam
tune khud chheda usse aur barham itna ho gaya

No comments:

Post a Comment

wel come