Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

naala iss zor se kyun mera duhai deta
ae falak gar mujhe uncha na sunai deta
laakh falak aazaar, ganwara thay, magar,
ek tera na mujhe dared-judai deta
main hun vo saed[shikar] ki phir daam[jaal] mein phansta ja kar
gar kafas[pinjara] se mujhe sayaad[shikari] rahai deta
munh se bas karte na hargiz ye khuda ke bande
gar harison[greedy] ko khuda saari khudai deta
dekh gar dekhna hai ‘zauq’ ki veh parda-nashin
deeda’ye-rozane-dil[dil ke chhed] se hi dikhai deta

No comments:

Post a Comment

wel come