Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

vo dekhen bazm mein pehle kidhar ko dekhte hain
muhbbat ! aaj tere hum asar ko dekhte hain
hum unnke kothe pe chadh kar hain dhondhte mah-e-eid
kidhar ko chand hai aur hum kidhar ko dekhte hain
na pucho shagalasiri mein hum garibon ka
kabhi kafas[cage] ko kabhi baalo-par ko dekhte hain
arq[pasiina] ke katre nahin dekhte hain uss rukh par
sitare dhoop mein hum dopahar ko dekhte hain
ayyar[kharapan] naqde-muhbbat [prem ropi dhan] ko dekh sakhti par
laga ke ‘zauq’ kasuti pe zar[sona] ko dekhte hain

No comments:

Post a Comment

wel come