Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

gujarti umr hai yun daur-e-aasmani mein
ki jaise jaaye koi kasti-e-dukhani[steam boat] mein
rukaav khoob nahin taba’aa[kalpana] ki ravani mein
ki buu fasaad ki aati hai bandh paani mein
nahin khizaab se matlab hamen, ye muye-safed[safed baal]
siyah_posh huye matm-e-jawani mein
kahun main apni kahani toh vo ye kehte hain
bagaiir jhooth nahin aur kuch kahani mein
bajuuz[siva] nisaar ali shah kaun jaane ‘zauq’
teri zaban ka maza teri shair_khwani[shair padhna] mein

No comments:

Post a Comment

wel come