Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

veh din hai kaun-sa ki sitam par sitam nahin
gar yahi sitam hain roz toh ik roz hum nahin
yeh dil mujhe duubo ke rahega, ki seene mein
veh kaun-sa hai daag jo girdabe-gham[dukh ka banwar] nahin
ahl-e-safa[achche log] ka dekha na daaman kisi ne tar
gauhar hai apni aab mein gark aur nam nahin
gar aabe-deed[aansu] sharbate-kausar[zannat ki sarab] bhi hai toh kya
jab tak ki uss mein chasni-e-dardo-gham nahin
jaata hai aankhein bandh kiye ‘zauq’ tu kahan
yeh raahe-kuye-yaar hai raahe-adam[maut ki raah] nahin

No comments:

Post a Comment

wel come