Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

rind-e-kharab-haal ko zahid na ched tu
tujhko parai kya padi apni nibayd tu
umar-e-rava’n ka tausne-chalaak[tez godha] iss liye
tujhko diya tha yaa’n se kare jald aed tu
yeh tangna-e-dahar[choti duniya] nahin manzil-e-faraag[araam ki jagah]
gaafil na paanv hirs ke phaila , sukaed tu
awargi se kuye-muhbbat ki haath utha
ae ‘zauq’ yeh utha na sakega khakhed[jhanjhat] tu


No comments:

Post a Comment

wel come