na karta zabt main naalah toh phir aisa dhuwan hota
ki neeche aasman ke aaur naya ik aasman hota
jo rota kholkar jii tangna-e-dahar[chota sa sansar] mein aashiq
toh juye-kehkashan[akash-ganga] mein bhi falak par khuu raven hota
bagula gar na hota vaadi-e-vehshat mein ae majnu
toh gumbad humse sar_gashton[paaglo] ki turbat[qabr] par kahan hota
na karta zabt main giriya[rona] toh ae ‘zauq’ ik ghadi bhar mein
katore ki tarah ghadiyaal ke garq aasman hota
No comments:
Post a Comment