Thursday, July 16, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

qayamat ko bhi kya insaaf apna ae sitamgar ho
abhi qissa na ho aakhir ki aakhir roze-mehshar[qayamat ka din] ho
harm ko jaaye zahid hum oh maikhane ko chalet hain
mubarak ussko taufe-qaba[qabe ka chakar] humko daure-saagar ho
nasha tuute tere saagar-kashe-vehshat ka kya mumkin
agar sau tukde sange-kodka’n se kasaye-sar[khopadi] ho
mujhe sehne-chaman bhi arsagaahe-hashr[qayamat ka maidan] ho tujh bin
gule-khursiid[surajmukhi ka phool] mere vaste khursiid-e-mehshar[qayamat ka suraj] ho
jo khoye aapko veh manzil maksood ko puhnche
teri guumgashtgi[kho jana] iss raah mein ae ‘zauq’ rehbar ho


No comments:

Post a Comment

wel come