Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

mere seene se tera teer jab- ae jangju nikla
dahaane[munh]-zakhm se khuun ho ke harfe-aarzu nikla
kahin tujhko na paaya garche humne ik jahan dhoondha
phir aakhir dil hi mein dekha bagal hi mein se tu nikla
khazil[sharminda] apne gunahon se hun main yaan tak ki jab roya
toh jo aansu meri aankhon se nikla surkhru nikla
ghise jab nakhuun-tadbeer aur tuuti sar-e-sojan[sui kin ok]
magar tha dil mein jo kaanta na hargiz veh kabhu nikla
usse ayyaar[clever] paata yaar samjhe ‘zauq’ hum jisko
jise yaan dost humne apna jaana veh uduu nikla

No comments:

Post a Comment

wel come