Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

aankhen meri talvon se vo mal jaaye toh achcha
hai hasrat-e-pabos[paanv chumne ki ichcha] nikal jaaye toh achcha
bimaare muhbbat ne liya tere sambhaal
lekin vo sambhale se sambhal jaaye toh achcha
furqat se teri tare-nafas seene mein mere
kaanta-sa khatkata hai, nikal jaaye toh achcha
dil gir ke nazar se tere uthne ka nahin phir
yeh girne se pehle hi sambhal jaaye toh achcha
hai katye-rahe ishq[prem ka rasta kaatna] mein ae ‘zauq’ adab shart
ju’n shama tu ab sar hi ke bal jaaye toh achcha

No comments:

Post a Comment

wel come