Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

nalah jab dil se chala seene mein fauda atka
chalti gaadi mein diya ishq ne rauda atka
jald aa vada-e-didaar pea e vada-khilaaf
kab tak atka rahe dam aankhon mein thoda atka
tausn[horse]-e-umr-e-ravaan har nafs[dam] ud’dta hi raha
kabhi maidan-e-fana mein na ye ghoda atka
bhaga majnu meri vehshat se bagule ki tarah
saamne mere zara bhi na bagoda atka
le gaye marr ke bhi ae ‘zauq’ rukavat dil mein
haath talvaar ka jo yaar ne choda, atka

No comments:

Post a Comment

wel come