Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

naam yun pasti[nechao] mein balaatar[uncha] hamara ho gaya
jis tarah pani kuyen ki teh mein taara ho gaya
daant yun chamak hansi mein raat uss mehpata ke
maine samjha mahe-taba’an[chamkta chaand] paara-paara[tukde] ho gaya
ek din bhi humko jeena hizr mein tha naagvaar
par umiide-wasl mein baarson guzara ho gaya
dil pe zakhmon ki tarakki se hui ik aur ik bahaar
aage tha sad-barg[sau pankdi wala gul] yeh gulab hazara ho gaya
‘zauq’ iss bahare-zahan mein kashtiye-umar-rvan[jiwan_nauka]
jis jagah par laa lagi vo hi kinara ho gaya

No comments:

Post a Comment

wel come