Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

jaan ke jii mein sada jeene ka armaan hi raha
dil ko bhi dekha kiye yeh bhi pareshan hi raha
kab libaase-duniyavi mein chhipte hain raushan-zameer[mahatma]
khana-e-fanuus mein bhi shola uriya[clear] hi raha
aadmiyat aur shai hai ilm hai kuch aur shai
kitna taute ko padhayaa par vo haiwan hi raha
muddaton dil aur paika’an[teer kin auk] dono seene mein rahe
aakhrish dil beh gaya khuun ho ke paika’an hi raha
deen-o-imaan dhundhta hai ‘zauq’ kya iss waqt mein
ab na kuch deen hi raha baqi na imaan hi raha

No comments:

Post a Comment

wel come