Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

jahan mein arsa ishrat se siva dehchand[das guna] hai gham ka
agar hai eid ka ik din toh ashra[das din] hai muhram ka
kharashe-seena mein ik reh gaya hai toot kar nakhuun
galat hai jo samjhte hain ki yeh faha hai marham ka
shaheed ae ‘zauq’ seene mein hui hain hasratein lakhon
meri jo aah hai goya vo hai ik nakhal[tree] maatm ka

No comments:

Post a Comment

wel come