Tuesday, July 14, 2009

ibrahim zauq ki shayyiri

mere taale’aa[kismet] mein hai kya kaam ae gardu[aas paas] sitare ka
chamak jaana hai kaafi aatish-e-gham[prem-agni] ke sharare ka
na pakad daamne-eliyaas[nadi mein bhatkne wale ko rasta batana] gardabe-bala[dubne wala bhanwar] mein hum
ki badtar duubkar marne se hai jeena sahare ka
nafas[saans] hai zaada-e-umre-ravan[zindgi ki rah] jis tarah se guzre
yeh puuche hai ae gumrah kya rasta guzaare ka
tera har muye-mizgahan[palko ka baal] dil ko angushte-ishart[rah dikhane wali ungli] hai
samjhne wala mujhsa chahiye par iss ishare ka
faqt-taare-nafas[saans ki taar] ka ‘zauq’ rakte-jaada[raste ki leek] kaafi hai
paae-umre-ravan[guzrne wali zindgi] kya chahiye rasta guzaare ka

No comments:

Post a Comment

wel come