Friday, July 3, 2009

jab tak nigaar-e-dasht ka seena dukha na tha

jab tak nigaar-e-dasht ka seena dukha na tha
sehra mein koi laala-e-sehra khila na tha
do jheelen uss ki aankhon mein lehra ke so gayein
uss waqt meri umar ka dariya chadha na tha
jagi na thin nasoo'n mein tamanna ki naaginen
iss gandhumi sharaab ko jab tak chakha na tha
ik bewaffa ke saamne aansu bahate hum ?
itna hamari aankh ka paani mara na tha
do kaale hont, jaam samajh kar chadha gaye
vo aab jis se maine wazu tak kiya na tha
vo kaali aankhen shehr mein mashohuut thin bohat
tab unn pe mote sheeshon ka chashma chadha na tha
main sahib-e-ghazal tha hasinon ki bazm mein
sar pe ghanere baal they maatha khula na tha

No comments:

Post a Comment

wel come