Friday, July 3, 2009

jo idhar se ja raha hai wohi mujh pe meharbaan hai

jo idhar se ja raha hai wohi mujh pe meharbaan hai
kabhi aag paasbaan hai kabhi dhoop meharbaan hai
badi aarzoo thi mujh se koi khaaq ro ke kahti
utar aa meri zameen per tu hi mera aasmaan hai
main issi gumaan mein barson bada mutmain raha hon
tera jism be taghayyur mera pyar jadwaan hai
kabhi surkh maumi shammein wahan phir se jal sakengi
woh lakhwari inton ka jo bada sa ik makaan hai
sabhi burf ke makano pe kafan bichain hain lekin
ye dhuwan bata raha hai abhi aag bhi yahan hai
koi aag jaise kohre mein dabi dabi si chamke
teri jhilmilati aankhon mein ajeeb sa samaan hai
unnhin rashton ne jin par kabhi tum thay saath mere
mujhe rok rok poocha tera humsafar kahan hai

No comments:

Post a Comment

wel come