Friday, July 3, 2009

koi aah-o-fughaan hai aaj bhi

yun maatmi se libaas mein koi aah-o-fughaan hai aaj bhi
jaise chahsm-e-tar mein khaab koi pareshaan hai aaj bhi

main zindagi ki raah-guzar pe dar-badar hoon iss liye
ke mohabbaton ke shehr mein dil be'makaan hai aaj bhi

teri aarzu hai bohat magar meri pohanch nahi hai iss qadar
meri khaahishon ke waaste tu aasmaan hai aaj bhi

main tauheed ke har hisaab se waise toh musalmaan hoon
par tujhe poojne ki baat hai, toh dil be'imaan hai aaj bhi

teri anjuman tera har karam, teri chahatein toh chhin gayin
magar dard jo mera naseeb bana vo meharbaan hai aaj bhi

teri aazyaton ka sawaal hai toh mujhe kal bhi zabt pe naaz tha
tujhe kosne ki baat hai toh dil be'zubaan hai aaj bhi

kabhi dard hadh se badha bhi toh main teri hadh se badha nahi
meri toh saans ki tasbeeyon mein ik tu hi rawaan hai aaj bhi

so baadlon ke silsile meri chatt pe baras kar chale gaye
par jala jala dhuwan dhuwan mera aashyan hai aaj bhi

mujhe kal mile thay kuch gulaab jo tere liye ye keh gaye
ke tere intzaar mein sog'waar gulshan ka samaan hai aaj bhi

No comments:

Post a Comment

wel come