Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

kitni diwaren uthi hain ek ghar ke darmiyan
ghar kahin ghum ho gaya diwaro-dar ke darmiyan
kaun ab iss shehr mein kiski khabargiri[dekh-rekh] kare ?
har koi ghum ik huzume-bekhabar ke darmiyan
jagmagayega meri pehchan ban kar muddaton
ek lamha angint sham-o-sahar ke darmiyan
ek sa’at[pal] thi ki sadiyon tak safar karti rahi
kuch zamane thay ki guzre lamhe bhar ke darmiyan
vaar vo karte rahenge, zakhm hum khaate rahen
hai yahi rishta purana sang-o-sar ke darmiyan
kya kahen har dekhne wale ko akhir chup lagi
ghum tha manzar ikhitlafat-e-nazar[allagh alagh nazariya] ke darmiyan
kis ki aahat par andheron ke qadam badhte gaye ?
rahnuma tha kaun iss andhe safar ke darmiyan
kuch andhera-sa, ujalon se gale milta hua
humne ik manzar banaya khair-o-shar[shubh-ashubh] ke darmiyan
bastiyan ‘makhmoor’ yun ujadi ki sahra ho gayi
faasile badhne lage jab ghar se ghar ke darmiyan


No comments:

Post a Comment

wel come