Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

na rasta na koi dagar hai yahan
magar sab ki qismat safar hai yahan
chidi hai beham surkhrui[jeet] ki jang
lahu mein harik chehra tar hai yahan
zaban par jise koi laata nahin
ussi lafz ka sab ko darr hai yahan
jiye jayenge jhoothkhabron pa’log
yahi ek sachchi khabar hai yahan
hawaon ki unglipakad kar chalo
wasila yahi mautbar[trustable] hai yahan
na iss shahr-e-behis[feelingless city] ko sahra kaho
suno ! ik hamara bhi ghar hai yahan
palak bhi jhapkte ho ‘mukhmoor’ kyun
tamasha bohat mukhtsar[in short] hai yahan

No comments:

Post a Comment

wel come