Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

ek ahsaas-e-ziyan[feeling of loss], lamha-ba-lamha kya hai
sochta hun : mere imroz[aaj] ka farda[future] kya hai
koi manzar hai na aawaz, tamasha kya hai
kis ne daale hain ye parde ? pase-parda kya hai
kabhi roshan, kabhi taarik[andheri], faza iss ghar ki
taaq-e-dil[dil ke mokhal] mein kabhi jalta, kabhi bujhta kya hai
har qadam, paanv ke neeche se nikalti-si zamiin
dam-ba-dam, haath se jaati ye duniya kya hai
aks iss aiine mein koi nikharta hi nahin
darmiyane-dilo-duniya ye dhuwan-sa kya hai
main, ki har chehre mein khud apna hi chehra dekhun
ajnabi bheed se yaaron mera rishta kya hai
ye hawaein tere haath aa na sakengi 'makhmoor'
tu sada ban ke, taakuub[peecha karna] mein lapakta kya hai

No comments:

Post a Comment

wel come