Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

beete mausam jo saath laati hain
vo hawaein kidhar se aati hain
ghar se kya sair ke liye niklen
raunkein ab toh dil dukhati hain
duur_tar tujhse ho gaye toh khula
qurbatein faansla badhati hain
din nikalta nazar nahin aata
aur raatein guzarti jaati hain
roshni mein bhatkne walon ko
zulmatein raasta dikhati hain
jo bhula di'n sabhi na ae 'makhmoor'
mujhko baatein vo yaad aati hai

No comments:

Post a Comment

wel come