Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

base basaye parindon ke ghar ujadne lage
ki aandhiyon mein jadon se darakht ukhadne lage
sulagte dasht mein chashma kahin nahin phuuta
aur aisi payas ki sab aediyan ragadne lage
anaa ke haath mein talwar kis ne die di thi
ki log apni hi parchai se ladne lage
lahu ka sail vo phir bastiyon ki samt badha
vo jangalon mein darinde kahin jhagdne lage
jo manzilen hai teri, sar tujhi ko karni hain
gila na kar, ki tere humsafar bichadne lage
teri talab ki ye raatein, ye khwab kaise hain
ki roz neend mein hum titliyan pakadne lage
ghadhi jawaal ki aayi toh dafa'tan 'makhmoor'
bane banaye sabhi silsile bigadne lage

No comments:

Post a Comment

wel come