Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

ankhon ke sab khwab kahin kho jaate hain
aaiine ik din pathar ho jaate hain
aisa kyun hota hai ? mausam darman[doctor] ke
dil mein taza dard bhi kuch bo jaate hain
tujhse vabasta har manzar ki pehchan
tujhse bichad kar sab manzar kho jaate hain
khwabe-safar inn ankhon mein jag uthta hai
chand, sitare thak kar jab soa jaate hain
kaun si duniyaon ka tasvvur zehan mein hai
baithe baithe hum ye kahan kho jaate hain ?
kis mausam ke badal hain jo kabhi-kabhi
dil ke markad[Samadhi bhawan] par aa kar roa jaate hain
aaiinon se puch kar dekho ae ‘makhmoor !
chehre kya hote hain, kya ho jaate hain

No comments:

Post a Comment

wel come