Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

lad pade be’baat bhi, hota raha aisa bohat
hum bhi kam sarkash[vidrohi] na thay, khudsar[mannmani] jo thi duniya bohat
apne mitti ke badan mein hun abhi simta hua
zarra-zarra ho ke main bikhra toh phailunga bohat
koi mehman aa raha hai taaza hangame liye
badla badla hai purane shehr ka naqsa bohat
teri parchai nazar aa aa ke kho jaati rahi
zindgi ki bheed mein hum ne tujhe dhoondha bohat
iss taraf se jaane kitne kaafile aaye gaaye
abs afar mushkil nahin, humvaar hai rasta bohat
tu koi saaya hai ya thandi hawa, duniya ne kyun
chilchilati dhoop mein rasta tera dekha bohat
dekh lo ‘makhmoor’ inn mein apna parto[pratichaya] bhi kahin
aks hai chehron ke aaiina-dar-aaiina bohat

No comments:

Post a Comment

wel come