Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

nazar ke saamne kuch aks jhilmilaye bohat
hum unnse bichade toh dil mein khayal aaye bohat
thin unnko dubte suraj se nisbatein[relation] kaisi !
dhali jo sham toh kuch log yaad aaye bohat
ye dhalti raat, ye palkein jhapkta sanata
gaye dinon ke fasane hamen sunaye bohat
iss liye ki iss andhe safar mein kaam aaye
hum uss gali se ujale samet laaye bohat
nazar gayi hai taa’quub[peecha karma] mein kitne chehron ke
teri talaash mein humne fareb khaye bohat
miti na teergi[andhera] ‘makhmoor’ ghar ke aangan ki
chirag humne mundheron pe yun jalaye bohat

No comments:

Post a Comment

wel come