ye kis ka naam hai jo naksh-e-dilnashin ki tarah
juda hua hai sare-lohe jaan, nagin ki tarah
ik ajnabi ki tarah raston mein milta tha
makane-dil mein jo rehta raha makin ki tarah
bhigo gaya meri khawhish ke khush phoolon ko
tera khayal tha ik lams-shabnami ki tarah
basi hui meri raaton mein, mere khwabon mein
tere badan ki mehak bu-e-yasmin ki tarah
pukarti hai tere shehr ki fiza mujhko
nazar se duur, kisi manzar-e-hasin ki tarah
kahan ki khaaq main apni jabin pe le aaya
jabin koi nahin roshan meri zabin ki tarah
khushi mein bhi nazar aaye malaal ke pehlu
koi hazing na ho mere dile-hazin ki tarah
nahin hai mahrame-aadabe-maikada ‘makhmoor’
jo talkhiyon ko nap ii jaaye angbi’n[honey] ki tarah
No comments:
Post a Comment