Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

rang pedon ka kya hua dekho
koi pat’ta nahin hara dekho
dhondhna aks-e-ghumshuda[khoya hua pratibimb] mera
ab kabhi tum jo aaiina dekho
kya azab bol hi pade’n pathar
apna qisaa usse suna dekho
dosti usski nibh nahin sakti
dil na maane toh aazma dekho
ajnabi ho gaye shanaasa[parichit] log
waqt dikhlaaye aur kya dekho
zindgi ko shikast[haar] di goya
marne walon ka hausla dekho
khudgaraz hain ye bastiyan ‘makhmoor’
tum bhi apna bura-bhala dekho

No comments:

Post a Comment

wel come