Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

hum bhi thay kabhi usske tarafdaar, magar ab ?
tha shehr mein ik sahibe-kirdaar, magar ab ?
haalat ne har shaks ki pehchan badal di
har shaks tha ki paikar-pindaar[kalpana ki murti], magar ab ?
dono hi taraf, toot’te rishton ki ghutan hai
aangan mein khadi ho gayi diwar, magar ab ?
afsana-tarazi[kahani ko saja ke kehna] pe huye usski fana hum
khamosh hai vo chashme-fusunkaar[jadu bhari aankhen], magar ab ?
humrah tumhare, abhi saaya hai usska
tum chhod toh aaye usse ae yaar, magar ab ?
apna hi lahu mad’de-mukabil[as opposite] hai tumhara
hathon mein sambhali toh hai talwar, magar ab ?
rukh, fauz-e-zafar mauj ne phera kidhar apna ?
kal, lashkare-aeda[dushmano ki sena] pet hi yalgar[ladai], magar ab ?
kal dawate-paikar[invitation for fight], zamane ke liye thay
hum khud se huye bar sare-paikar, magar ab ?
har lamha abhi toh mujhe lalkaar raha hai
main haar gaya waqt se ik baar, magar ab ?
aawaz mein dhalti hui ye meri khamoshi
tumne toh na di mohalte-guftaar, magar ab ?
iss shehr ki kal tak koi pehchan rahi hai
bechehra huye kuucha-o-bazaar, magar ab ?
sholon mein jhulasta hua ik phool hun ‘mukhmoor’
khusbhu ki tarah tha mera kirdar, magar ab ?

No comments:

Post a Comment

wel come