Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

har dariche mein mere qatl ka manzar hoga
sham hogi toh tamasha yahi ghar ghar hoga
pal ki dehleez pa’gir jaunga beshudh ho kar
bojh sadiyon ki thakan ka mere sar par hoga
main bhi ik zism hun, saaya toh nahin hunt era
kyun tere hizr mein jeena mujhe dubhar hoga
apni hi aanch se pighala hua chandi ka badan
sarhad-e-lams[sparsh ki seema] taka ate huye pathar hoga
log iss tarah toh shaklein na badalte honge
aaiina ab usse dekhega toh sh’shadar[achambit] hoga
sar patakte hain bagole[dhool ke bawander] vahi mauzon ki tarah
ab jo sahra hai kisi din ye samandar hoga
dashte-tadbiir[prayaas ka jangle] mein jo khaaq-e-ba-sar[hataash] hai ‘makhmoor’
ho na ho mera hi aawara mukadar hoga

No comments:

Post a Comment

wel come