Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

jo ye sharte-taalluk hai, ki hai humko juda rehna
toh khwabon mein bhi kyun aao, khayalon mein bhi kya rehna
purane khwab palkon se jhatak do, sochte kya ho
mukddar khusk patton ka hai shakhon se juda rehna
shajar zakhmi ummidon ke abhi tak lehlahate hain
innhe patjhad ke mausam mein bhi aata hai hara rehna
kabhi guzrega inn galion se ik saile[pareshani ki baadh]-bala yaaro
ye mitti ke makan dheh jayenge sab, inn mein kya rehna
guzarte rozo-shab ke darmiyan ye behisi meri
kisi pathar ka jaise beech raste mein pade rehna
lahu roti hui ankhon mein hasrat tujhko pane ki
sulgate paaniyon mein ik larazte aks ka rehna
azab kya hai agar ‘makhmoor’ tum par yurishe-gham[dukhon ka hamla] hai
hawaon ki toh aadat hai chiragon se khaffa rehna

No comments:

Post a Comment

wel come