Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

maslahat ke hazaar pehre hain
mere chehre pe kitne chehre hain
dho sake chahton ki rimjhim kya
nafraton ke ye rang gehre hain
kali pili haqiqatein lekin
khwab jitney hain sab sunahre hain
khudgari, khudnumai, khudshikni
mere sar ye tamaam sehre hain
jii na payenge zindgi dohri
aisa lagta hai hum ikhare hain
maut tujhko pukarta hun main
zindgi ke toh kaan behare hain
mod kaisa ye aa gaya ‘makhmoor’
chalte chalte jo paanv thehre hain

1 comment:

  1. beautiful presentation of so many shayars
    urgoodself is welcome at
    http://gazalkbahane.blogspot.com/
    and by the way why not use baraha devnagari more people will be interested in ur blog then
    shyam skha shyam

    ReplyDelete

wel come