Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

raaton ka andhera hi ab din ka ujala hai
ae shehre-hawas tera suraj bhi toh kala hai
qismat ki lakerin iss koshish mein hui zakhmi
girte huye ik ghar ko haathon pa’ sambhala hai
suraj ki bulandi se kuch sange-sada fenko
yun raat ka sanata kab tootne wala hai
mit-mit ke ubhar aaye, kuch aur nikhar jaaye
tasveer-e-tamnna ka har rang nirala hai
ashkon ke diye sune taaqon pa’ hamin rakh den
viraan bohat din se yaadon ka shivala hai
khud apna lahu peena, marne ke liye jeena
ae humnafso tumne kya rog ye pala hai
‘makhmoor’ ye murt kis mandir se nikal gayi
chandi ka badan, sar par sone ka dushala hai

No comments:

Post a Comment

wel come