Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

nahin ehsaas hi kuch, teergi[andhera] kya, roshni kya hai !
guzarte rozo-shab ke masiva[siva], ab zindgi kya hai ?
sada, ab mau’tbar[trustable] koi na manzar der pa[tikau], ghaani
ye kaan ab kuch nahin sunte, nazar bhi dekhti kya hai !
falak-rutba imarat ki bhi qismat hai zamin’bosi
sare-doshe-hawa[hawa ke kandhe pe] qayam jo ho, buniyad hi kya hai ?
hum apni gumrhi taslim kar lenge, magar yaaro !
kaho iss dashte-zulmat[andhere ka jangle] mein nishane-gumrhi kya hai ?
najaane kisne yun pamaal[bure haal]] kar di dhadkane usski
mere seene mein ye dil hai, ki sange-behisi[feelingless stone]; kya hai ?
safar mein jaane kinte dashto-dariya raah rokenge
abhi se kis liye be-hausla ho tum, abhi kya hai ?
yahan nakde-sukhan[treasure of poems] ka aur hi paimana hai koi
suno ‘makhmoor’ ! tum kya ho, tumhari shayri kya hai ?

No comments:

Post a Comment

wel come