Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

sun li sada-e-koh-e-nida aur chal pade
humne kisi se kuch na kaha aur chal pade
saaye mein do ghadi bhi na baithe guzarte log
pedon pa’ apna naam likha aur chal pade
thehri hui fiza mein uljhane laga tha dam
humne hawa ka geet suna aur chal pade
taarik raston ka safar sahal tha hamen
roshan kiya lahu ka diya aur chal pade
rakhte-safar jo paas hamare na tha toh kya
shanuq-e-safar ko saath liya aur chal pade
ghar mein raha tha kaun ki rukhsat kare hamen
chokhat ko alvida kaha aur chal pade
‘makhmoor’ vapsi ka irada na tha magar
ghar ko khula hi chod diya aur chal pade

No comments:

Post a Comment

wel come