Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

bahaar laut hi aayi toh kya kit u hi na tha
nazar ko zauq-e-tamasha-e-rango-buu hi na tha
abs[bekaar] kisi se thi husn-e-kabool ki ummid
hamen saleeq-e-izhaare-aarzu hi na tha
phir uss safar ka toh la_hasili hi hasil thi
qadam kisi ka sare-raah-justju hi na tha
a buss nazar neb hi aakhir yahi gawahi di
ki chaak daamne-dil qapile-rafu hi na tha
kuch aur log bhi thay jo hamen aziz rahe
sabab hamari udasi ka ek tu hi na tha
sabab kuch uss ke tagaful ka puchte uss se
raha ye ranj ki vo shaks rubaru hi na tha
jala darakht thi apni bhi zindgi ‘makhmoor’
ragon mein jiski koi jazb-e-namu[feeling of progress] hi na tha

No comments:

Post a Comment

wel come