Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

kisi bhi samt ho dil ka safar akela hai
ye rahgiir, sare-rahguzar akela hai
jarik shaks, jise dekh kar, akela hai
kise khabar ki vo khud kis qadar akela hai !
vo apna aks kisi mein talaash karta hai
khada hai bheed mein kab se magar akela hai
dukane-dil ye kharid’dar hi nahin koi
qatare-shiisha liye, shishagar akela hai
ik intizar, ki shayad koi chala jaaye
uddas hai daro-diwar, ghar akela hai
ujaad waqt ke be-bargo-baar[without fruit and flower] sehra mein
hara bhara, tera gham ka shajar akela hai
kisi khabar ko bhi jisne sach nahin jana
hujoome-shehr mein vo, ba_khabar akela hai
main tishnakaam[payasa] hun pii lunga usski tanhai
vo mere paas toh aaye agar akela hai
kahin se aaye jo pathar mujhe lage ‘makhmoor’
saron ki bheed mein kya mera sar akela hai

No comments:

Post a Comment

wel come