Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

rukh kabhi apna hawaon ko badalna bhi pada hai
sarphira koi parinda jab hawaon se lada hai
kin guzarte maushamon ka marsiya[maut ka geet] main sun raha hun
phir ye kiska naam le kar ped se pat’ta jhada hai
jab vo jinda that oh ik chotte se qad ka aadmi tha
aaj chaurahe pa’ jiska devqamat[like devil] buut gada hai
khushnuma hai taaz jo balsha gaya hai, mujhko lekin
kaam mere aa nahin sakta ki mera sar bada hai
peeche mud-mud kar nigahein ghumshuda manzar ko dhoondhe
daayen-baayen kuch nahin hai, saamne parda pada hai
sahal samjhe thay guzar jaana masr’rat[khushi] ki talab se
ahle-gham ne ab ye jaana marhala[mod] ye bhi kada hai
munaakis[pratibibit] hai jis mein ae ‘makhmoor’ aks-e-gul kahin se
aahni[lohe ki] diwaar mein ye aaiina kisne zada hai

No comments:

Post a Comment

wel come