Friday, July 17, 2009

makhmoor sayedi ki shayyiri

aakhir iss qaide-taaluk se riha bhi hoga
tumhen jo shaks mila hai, vo juda bhi hoga
raushni, saath andhere ka na degi ta’der[der tak]
aur usske liye shayad ye rawa bhi hoga
zindgi ban ke koi shaks mila hai humse
meharban aaj sahi, kal vo khafa bhi hoga
ab main kya apne ta’aaruf mein kahun, kya na kahun !
tumne kuch toh mere bare mein suna bhi hoga
shehre-dil ko na samjh-shehre-khamosha’n[qabaristan] ki yahan
dard ki lai mein koi nagmasara bhi hoga
kya kahe aaj khuda jaane sawale-dil par
kal ki baatein toh vo ab bhool chuka bhi hoga
zindgi mere liye qarz mere khwabon ka
sochta hun kabhi ye qarz ada bhi hoga
husn, tehzibe-waffa ka ho jo munkir[asvikar karma] ‘makhmoor’
ishq, begana-e-aadabe-waffa bhi hoga

No comments:

Post a Comment

wel come