Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

aankhon mein jii mera hai idhar yaar dekhna
aashiq ka apne aakhari diidaar dekhna
kaisa chaman ke ham se asiiron ko mana hai
chaak-e-qafas se baagh ki diivaar dekhna
aankhen churaaiio na tuk abr-e-bahaar se
meri taraf bhi diidah-e-khuun_baar dekhna
ae ham-safar na aable ko pahunche chashm-e-tar
laga hai mere paaon mein aa khaar dekhna
hona na chaar chashm dik uss zulm-paishaah se
hoshiyaar ziinhaar khabardaar dekhna
sayyad dil hai daag-e-judaaii se rashk-e-baagh
tujhko bhi ho nasiib ye gulazar dekhna
gar zam_zamaa yahi hai koi din toh ham-safiir
iss fasl hi mein hamko giriftaar dekhna
bul-bul hamare gul pe na gustaakh kar nazar
ho jaayega gale ka kahin haar dekhna
shaayad hamari khaak se kuch ho bhi ae nasiim
girbaal kar ke kuucha-e-dildaar dekhna
uss khush-nigaah ke ishq se parahez kiijiyo 'meer'
jaata hai le ke jii hii ye aazaar dekhna

No comments:

Post a Comment

wel come