Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

kya kahun tumse main ke kya hai ishq
jaan ka rog hai, bala hai ishq
ishq hi ishq hai jahan dekho
saare aalam mein bhar raha hai ishq
ishq mashooq ishq aashiq hai
yaani apna hi mubtla hai ishq
ishq hai tarz-o-taur ishq ke taaiin
kahin banda kahin khuda hai ishq
kaun maqsad ko ishq bin pahuncha
aarzu ishq va mudda hai ishq
koi khwahan nahin mohabbat ka
tu kahe jins-e-narwa hai ishq
‘meer ji’ zard hote jaate hain
kya kahin tumne bhi kiya hai ishq ?

No comments:

Post a Comment

wel come