Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya
jhankna takna kabhu na gaya
har qadam par thi usski manzil lek
sar se sauda-e-justaju na gaya
sab gaye hosh-o-sabr-o-taab-o-tavaan
lekin ai daag dil se tu na gaya
ham khuda ke kabhi qaayal toh na thay
unnko dekha toh khuda yaad aa gaya
dil mein kitne masaude thay vale
ek pesh usske ru-ba-ru na gaya
subah gardan hi 'meer' ham toh rahe
dast-e-kotaah ta sabu na gaya

No comments:

Post a Comment

wel come