Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

ashq aankhon mein kab nahin aata
lahu aata hai jab nahin aata
hosh jaata nahin raha lekin
jab vo aata hai tab nahin aata
dil se rukhasat hui koi khwahish
giriya kuch be-sabab nahin aata
ishq ka hausala hai shart varna
baat ka kis ko dhab nahin aata
jii mein kya-kya hai apne ae hamdam
har sukhan taa ba-lab nahin aata

No comments:

Post a Comment

wel come