Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

hoti hai agarche kehne se yaaron paraai baat
par hamse toh thami na kabhu munh pe aayi baat
kehte thay uss se milte toh kya-kya na kehte lek
vo aa gaya toh samne usske na aayi baat
bul-bul ke bolne mein sab andaz hain mere
poshida[hidden] kya rahi hai kisu ki udaai baat
ik din kaha tha ye ke khamoshi mein hai vaqaar[honor]
so mujhse hi sukhan nahin main jo bataai baat
ab mujh zaif-o-zaar[old and weak] ko mat kuch kaha karo
jaati nahin hai mujhse kisu ki uthaaii baat

No comments:

Post a Comment

wel come