Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

kaabe mein jaan_balab the ham duuri-e-buutan se
aaye hain phir ke yaaron ab ke khuda ke yaan se
jab kaundhti hai bijli tab zanib-e-gulistan
rakhti hai chhed mere khashaak-e-aashiyan se
kya khoobi usske munh ki ae guncha naql kariye
tu toh na bol zaalim bu aati hai vahan se
khamoshi mein hi ham ne dekhi hai masalahat ab
har ik se haal dil ka muddat kaha zaban se
itni bhi bad mizaji har lehza 'meer’ tumko
ulajhav hai zamin se, jhagda hai aasman se

No comments:

Post a Comment

wel come