Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

dam-e-subah bazm-e-khush jahan shab-e-gham se kam na thi meharban
ki chiragh tha so toh duud[smoke] tha jo patang tha so gubaar tha
dil-e-khasta[wounded heart] jo lahu ho gaya toh bhala hua ki kahan talak
kabhi soz-e-seena se dagh tha kabhu dard-o-gham se figaar[injured] tha
dil-e-muzatarib se guzar gayi shab-e-wasl apni hii fikr mein
na dimag tha na faraag tha na shakeb[comfort] tha na qaraar tha
ye tumhari inn dinon dostan mizhgaan[eyelashes] jis ke gham mein hai khoon-chakan[bloodshot]
wahi aafat-e-dil-e-aashiqan kisu waqt hamse bhi yaar tha
kabhu jaayegi udhar saba toh ye kahiyo uss se ki bewaffa
magar ek ‘meer’-e-shikasta-paa tere baagh-e-taaza mein khaar tha

No comments:

Post a Comment

wel come