Monday, July 6, 2009

meer taqi meer ki shayyiri

andoh[sorrow] se hui na rihaai tamaam shab
mujh dil-jale ko neend na aayi tamaam shab
chamak chalii gayi thi sitaaron ki subah tak
ki aasmaan se diidaa-baraa_ii tamaam shab
jab maine shuru qissa kiya aankhen khol di
yaqini thi mujhko chashm-numaayi tamaam shab
vaqt-e-siyaah ne der mein kal yaavari[help] si ki
thi dushmanon se innki ladaai tamaam shab
taare se teri palakon pe qatre thay ashq ke
de rahe hain ‘meer’ dikhaai tamaam shab

No comments:

Post a Comment

wel come